deepundergroundpoetry.com
Jannat Ki Talaash
Jannat Ki Talaash nhi mujhe
Bas udnaa chahti hu in baadlo me kahi
Dhoond na paaye koi mujhe fir,
Bas tum mil Jaana wahi kahi.
Kayi Baar in baadlo me
Tumhe ektak dekhti rhi
Ab Jannat Kya is se khoobsurat hogi?
Jab uske paas tum ho hi nhi.
Jannat Ki Talaash nhi mujhe
Bas tumhe chhuna chahti hu.
Har Raat dekhe khwaab ko
Haqikat me ekbaar bun na chahti hu.
Apni unglion se tum par
Kuch aur khwaab likhna chahti hu.
Mere jaate hi tum unhe padh Lena.
Chhodo wo sab! tum Mujhe yuhi rok Lena,
Tumhare Saath rhnaa chaahti hu.
Jannat Ki Talaash nhi mujhe
Bas kuch nayi kahaaniya suun na chahti hu.
Aur fir jab Meri palke jhapke ye samajh Lena
Ki tumhare kandhe par sir rakh kar so Jana chahti hu.
Sapno me fir waapas tum aana,
Adhoori Kahaani ko puuri suna na.
Jannat Ki Talaash na bhi ho mujhe
Apni kahaniyo me mujhe jannat hi dikhana.
Bas udnaa chahti hu in baadlo me kahi
Dhoond na paaye koi mujhe fir,
Bas tum mil Jaana wahi kahi.
Kayi Baar in baadlo me
Tumhe ektak dekhti rhi
Ab Jannat Kya is se khoobsurat hogi?
Jab uske paas tum ho hi nhi.
Jannat Ki Talaash nhi mujhe
Bas tumhe chhuna chahti hu.
Har Raat dekhe khwaab ko
Haqikat me ekbaar bun na chahti hu.
Apni unglion se tum par
Kuch aur khwaab likhna chahti hu.
Mere jaate hi tum unhe padh Lena.
Chhodo wo sab! tum Mujhe yuhi rok Lena,
Tumhare Saath rhnaa chaahti hu.
Jannat Ki Talaash nhi mujhe
Bas kuch nayi kahaaniya suun na chahti hu.
Aur fir jab Meri palke jhapke ye samajh Lena
Ki tumhare kandhe par sir rakh kar so Jana chahti hu.
Sapno me fir waapas tum aana,
Adhoori Kahaani ko puuri suna na.
Jannat Ki Talaash na bhi ho mujhe
Apni kahaniyo me mujhe jannat hi dikhana.
All writing remains the property of the author. Don't use it for any purpose without their permission.
likes 1
reading list entries 0
comments 0
reads 258
Commenting Preference:
The author encourages honest critique.